rahi tu thak na jana
tera door hai basera
raahein badi kathin hain
aur door hai savera
rahi tu gir na jana
thokar bhari guzar hai
chalna sambhal sambhal ke
dhundhli teri nazar hai
Bhatki hui dagar pe
nahi koi paasbaan hai
bhakte hu kisi ka
nahi koi aashiyaan hai
sitaron mein yaad rakhna
raahon ki chal kya hai
chanda ko poochh lena
raaton ki dhal kya hai
raaton ki khushbuein bhi
lubhati hi rahengi
hawaon mein thand le ke
sulati hi rahengi
nazron ke aaine pe
manzil ko aabaad rakhna
safar ke thamne ko
manzil ke baad rakhna
sajaye guzri raahein
amanat mein aan rakhna
agar rokti ho aahein
zamanat pe jaan rakhna
shiddat ki pyaas hogi
aur jazba nidhal hoga
ladkhadate qadam hon jaise
wohi dil ka haal hoga
tere dil ki taqwiyat ko
kafi manzil ki ek nida ho
ban jaye aisi manzil
teri raah pe fida ho
rahi tu phir na jana
badhna nahi sahal hai
aage ko badhte rahna
bas yehi ek hal hai
rahi tu thak na jana
tera door hai basera
raahein badi kathin
hainaur door hai savera.
No comments:
Post a Comment