Main Pyaar Ka Deewana
Sab Se Mujhe Ulfat Hai

Monday, March 01, 2010

Yeh Kya Hai ?

Do sifat fard zamane ka bhi koi insaan hai
Khud kahe ke kahan insaan kahan kahan haiwan hai

Khoo hai ke huyi jisse kisi ki pehchaan hai
Khamiyon pe itminaan aur achchhaiyon pe hairaan hai

Hairat na ho ke is par bhi gumaan hai
Baghal mein faqa aam aur ghar mein badaam hai

Kise khabar ke khairaat ko yeh kahan ka deenar hai
Raat bhar ka kaam aur din ka yeh araam hai

Jane kahan ke liye bechain hai pareshan hai
Taqqub mein rafeeq kya bhai bhi anjaan hai

Mushkil hai agar kisi ka ek hi naam hai
Is gali ka sultaan us gali baimaan hai

Mard kya ab to aurat bhi lamoqaam hai
Maa gard biwi lal-o-guhar bhari guldaan hai

Budhape mein bhi kahan dil-o-dimagh ko araam hai
Is ka kya naam aur uska kya daam hai

Saquib kyun har baat pe bechain hai bezaar hai
Tabdeel jise hona hai use hona aap hai...