Kahta hai zamana ke kyun itna naaz karte ho
bhala kyun apne parde sabpe daraaz karte ho
aajzee ka phir jhuk ke sabko salam hota hai
khamosh hi phir jawab mera aam hota hai
zabaan agar meri mere dil ka teer ho jaye
aur kaghzi pairahan pe sabke shamsheer ho jaye
to nazara e zer zang aalood ka ho jaye
aur zahir raaz parwaaz-zood ka ho jaye
kyun kar kisi ke aab o taab ko figaar karein
kyun hum kisi ke bharam ko muft char karein
behis ho mumkin jalal mera natwaan nahi
nahi aisa ki nazr o qalb o baazu mein jaan nahi
ehteyaat ho ki niyat mein khaar na ho
aur mutlaq humse qurbat mein aar na ho
mushtaq phir dar e ulfat kushada milega
bezarar purzauq ziyafat ko aamaada milega
mehfooz un faslon mein angushtnumai ko rahna hai
jahan se saquib ki shanakht shadeed adna hai