Main Pyaar Ka Deewana
Sab Se Mujhe Ulfat Hai

Tuesday, November 13, 2012

hai zahir ke khyalon mein aaj aasmaan badrang hai


sangeen hawaon ki shama ko ye samajhna chahiye
kahin parwana uska bhi joojhta hoga thapedon mein
parwane ki mashaqqat ko bhi ye samajhna chahiye
ki roti shama tak usko bhi jaldi pahunchna chahiye

lau e shama ko bhi laga ke jaan dhadhakna chahiye
ki raah e umeed bhi nahati rahe noor e ulfat mein
hausla sametna bhi parwane ko aana chahiye
ghir ke tashaddud mein sambhalna aana chahiye

No comments:

Post a Comment