Main Pyaar Ka Deewana
Sab Se Mujhe Ulfat Hai

Tuesday, June 08, 2010

Jawab-Shikwa

mahroomi hai jo kiya na kabhi tark-e-watan
safar mein rahein sham-o-sehar kya takte

fitrati musafir bhi agar khuli dhoop ka ho
saye phaila ke yunhi shajar use takte

khaki amad-o-rukhsati ke darmayan se hai bahar
zarra hi banna hai to,laal-o-guhar ko hum takte

masroofiyan uljhanon ki, to ulafaton ki bhi hain
hum bhi yahan khud-sifat aahat ko hi takte

woh milein kahan, mahtab bhi yunhi tarse
saquib ko nahi, sab yunhi use takte.

No comments:

Post a Comment